Fir kyun nahi sab pe vishwas hota hai.
Aaj Phir Dil Kuch Udaas Udaas Hai,
Jane Kyun Ek Mayusi Si Chayee Hai,
Aaj Phir Palkon Pe Meri Paani Hai,
Bheed Main Hu Phir Kyun Yeh Tanhaee Hai
Har taraf noor hai khusboo hai,
Teri ankhon main kaisa jadu hai,
Saari dunia hai meri jholi main,
Aur dunia meri bus tu hi tu hai
Hum Wo Nai Jo Bhul Jaya Krte He,
Hum Wo Hai Jo Nibhaya Krte He,
Dur Rehke Milna Shyad Mushkil Ho,
Par Yad Banke Sason Me Bus Jaya Krte He
Kuch rishte anjane main hi ho jate hai,
Pahale dil fir zindgi se jud jate hain.
Kehte hain us dor ko DOSTI,
Jisme log zindgi se bhi pyare ho jate hain!
Ishq ne hame benam kar diya,
har khushi se hame anjan kar diya.
Hamne kabi nahi chaha ki ishq hame bhi ho,
par unki 1 nazar ne hamara kaam tamaam kar diya
Ishq pane ki tamanna main,
Kabhi kabhi zindagi khilona ban jaati he,
Jise dil main basana chahte hain,
Wo surat sirf yaad bankar reh jati hai
Ashq Mile To Pee Lete Hain
Aap Kahe To Mar Jayen Hum
Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain
Mohabbat rang lati hai,
Jab dilse dil milte hai.
Mushkil to ye hai,
Dil badi mushkil se milte hai.
Apne dil ki suno jazbat se kam na lo,
mujhe yad rakho beshak mera naam n lo.
Apka vahem hai ki ham bhul gye apko,
aisa soch k meri dosti ka imtihan na lo.
Meri saanso me ek aahat apki bhi hai,
Dil ki dhadkano me gungunahat aapki bhi hai.
Anjan hai aap is raz se ki,
Hamari hansi me ek muskurahat aapki bhi hai
Hum laga baithe the dil pathar se,
toot gaya yeh khuda ki raza hai.
Unglian doobi hain apne he khoon mein,
yeh kaanch ke tukre uthane ki saza hai
Parwah karo uski jo aapki parwah kare,
zindgi me jo kabhi ruswa naa kare.
Jaan banke utar jao uski jaan me,
jaan se bhi zyada jo aapko pyar kre
Har Baar Unki Salamati Ki Dua Karenge,
Unki Aarzo Me Apni Hasti Fanaah Karenge,
Woh Chahe Daaman Bacha le Humse Lekin,
Hum Marte Dum Tak Unse Wafaa Karenge
Ae dil tu dhadkana band kar,
Jab Jab tu dhadkta hai unki yaad aati hai.
Wo to khush hai apni duniya me,
Jaan to Pal Pal hamari hi jaati hai
Majboori kya hai unhone batai to hoti,
judaai ki baat u sunai na hoti.
kabr ki mitti bhi de dete unhe,
meri maut ki khwahish jatai to hoti
Majburi me nahi,
dil kare to mujhe yaad karna.
risto se fursat mile
to mujhe yaad karna.
hai dua ki har khusi pao tum,
fir bhi aankhe bhar aaye
to mujhe yaad karna
Zindagi me sirf gum hamare hain,
Har baazi jeet ke haare hain.
yeh jo meri jholi me patthar hain,
Sab mere chahne walo ne maare hain
Saara samundar u toh mere paas hai,
Bas ek bund sirf meri pyaas hai.
Unbujh paheli raha mai hamesha,
Baat apni toh bas...
Yehi khaas baat hai
Na Zindgi Mili Na Wafa Mili,
Kyu Har Khushi Humse Khafa Mili,
Jhuthi Muskan Liye Dard Chupate Rahe,
Sacha Pyar Krne Ki Kya Khub Saza mili
Ek haseena par nigahain tehri thi,
uski aankhein jheel se bhi gahri thi.
Thak gaya mei apne pyar ka ijhar karte-karte,
tab pata chala yaar wo to behri thi
Nazar chahti hai didaar karna,
dil chahta hai pyaar karna.
kya batayein is dil ka aalam,
naseeb mein likha hai intezar karna
Gum woh jo AANSOO laa de
Khushi woh jo GUM bhula de
Hume to chahiye aapki itni si DOSTI
Jo aapke YAAD karne par,
hume HICHKI dila de
Maza toh maine intezar mein dekha hai,
Chahat ka asar pyar mein dekha hai.
Log dhundhte hai mandir masjid mein jise,
Uss khuda ko maine apne yaar mein dekha hai
Dard sehne se nai darte hum,
Par us dard k khatm hone ki koi aas to ho.
Dard chahe jitna v dardnak kyun na ho,
Par dard dene wale ko uska ehsaas to ho
Duniya me koi kisi ke liye kuch nahi karta,
Marne wale ke sath koi nahi marta.
Arre..Marne ki to baat dur rahi,
Yahan to zinda hai phir b koi yaad nahi karta
Bhavro ke liye phoolo ka khilna kafi hai,
Shama ke liye parwane ka jal jana kafi hai.
Hame aur kuchh nahi chahiye,
Hamare liye aapka muskurana kafi hai
Ek dost hai jo apna sa lagta hai,
paas hai dil ke par juda sa lagta hai
wo katl bhi kar dete to katil nahi
aur zahar bhi dete hain to meetha sa lagta hai.
Mai nazar se pi raha hu ye sama badal n jaye,
n jhukaO nigahe kahi rat Dhal n jaye.
Mera ask hai isme ye sharab ubal n jaye,
mera jaam Chhune wale tera hath jal n jaye
Roti huyi aankho me intezaar hota hai,
Na chaahte huye bhi pyaar hota hai.
kyu dekhte hai hum wo sapne,
Jinke tutne par bhi
unke sach hone ka intezaar hota hai
Dil mai utha tufan bheja hai,
aapse na mil pane ka malal bheja hai
waqt mile to thoda sa yaad karna
aapke dost ne aaj ka ram ram bheja hai
Wo mausam wo bahaar bhi usake saamne kam thi,
Uske saath wo waqt wo fiza bhi kam thi,
Par kya kare ai jaalim apne haathon me
Mohabbat ki lakeer hi kam thi.
Aankhon ki saja tab tak hai, jab tak deedaar na ho,
Dil ki saja tab tak hai, jab tak yaar na ho,
Yeh jindagi bhi ek saja hai, jab tak kisi se pyaar na ho.
`
Dost dost nahi khuda hota hai,
Mahsoos tab hota hai jab wo juda hota hai,
Bina dost ke jeena saja hota hai,
Aur dost aap jaisa ho to jeewan ek tohfa hota hai.
`
Jb hmne unse pucha
Spna kya hota he
to unone kha band akho me jo apna hota he
Khuli akho me wo hi spna hota he
`
Jindagi agar phool, to tum khushboo ho…
Jindagi agar khwaab,to tum aarjoo ho….
Jindagi agar jeena, to tum meri jaroorat ho.
`
Jara palat kar to dekh lete,
Ham wahi khade the,
Pal do pal to aap muskura lete,
To un palon me ham apni saari jindagi jee lete.
`
Aaj arse baad jab suni uski aawaaj,
To laga ki mere bahut paas hai wo,
Ho gayi nam ye aakhen jab hosh aaya aur paaya ki
Kabhi na poori hone waali aas hai wo.
`
Mere chehre ki hasi ho tum,
Mere dil ki har khushi ho tum,
Mere hothon ki muskaan tum hi to ho,
Dhadakta hai mera ye dil jiske liye wo meri jaan tum hi to ho.
`
Koshish karta jab sher banane ki kabhi,
To kambakht pyaar yaad aa jata hai
Aur jab koshish karta hu pyaar yaad karne ki
kabhi to na jaane kaise sher ban jata hai…
`
Usko chaha bhi to ikraar karna na aaya,
Kat gayi umra, hame pyaar karna na aaya,
Usne maanga bhi agar kuch to maangi judaai,
Aur ek ham the ki inkaar karna na aaya.
`
Raat ki tanhaai me unko aawaaj diya karte hai,
Raat me sitaaron se unka jikra kiya karte hai,
Wo aaye ya na aaye hamaare khwaabon me,
Ham to bas unhi ka intajaar kiya karte hai.
`
Palkon ke kinaare jo hamne bhigoye nahi,
Sab sochte hai ham roye nahi,
Sab poochte hai ki khwaabon me kise dekhate ho,
Ham hai ki ek umra se soye hi nahi.
`
Bina dard ke aansu bahaaye nahi jaate,
Bina pyaar ke rishte nibhaaye nahi jaate,
Ae dost ek baat yaad rakhna bina dil diye,
Dil paaye nahi jaate.
`
Subaah ko yaad aayi to miss kiya,
Dophar ko yaad aayi to bahut miss kiya,
Shaam ko yaad aayi to dil uchal gaya aur
Jab jaan par ban aayi to SMS kiya.
`
Missed call to ek bahana hai,
Irada to aapka ek lamha churana hai,
Aap chaahe hamse baat karo ya na karo,
Aapki yaadon me hamaara aana jaana hai…
`
Dil ki naajuk dhadkano ko,
Mere sanam tumne dhadakna sikha diya,
Jab se mila hai tera pyaar dil ko,
Gam me bhi muskurana sikha diya.
`
Khyalon ko kisi aahat ki aas rahti hai,
Nigaah to kisi soorat ki pyaas rahti hai,
Tere bin kisi cheej ki kami to nahi,
Magar tere bin tabeeyat udaas rahti hai.
`
Aakhon me aansu hai,
Phir bhi labon pe muskaan hai…
Kyonki jeena to har haal mein hai,
To hasne me kya nuksaan hai, sada muskurate raho.
`
Chaho to dil se mujhko mita dena,
Chaho to mujhko bhoola dena, par ye wada karo ki,
Kabhi meri yaad aai to,
Rona mat sirf muskura dena…
`
har baat jubaan kah paati jo agar,
Aankhon ke ishaare kyon hote???
Agar samajhate hamaare ishaare tum,
Palkon pe ye aansu kyon hote???
`
Sooraj se kaho chamakna chod do,
Sitaaron se kaho timtimana chod do,
Tum milane nahi aa sakte ho to,
Apni yaadon se kaho ki yun satana chod de.
`
Ijaajat aap de, to taarif me aapki kuch ham farmaaye,
Mohabbat aap de, to us dil ke thoda kareeb ham aaye,
Shikaayat agar aap kare,
To dil ki dhadkan kahi tham na jaaye.
`
Jab aasmaan ke sitaare hamko dekhte hai,
Ham kuch anjaani soch me pad jaate hai,
Har lamha ham aisa mahsoos karte hai,
Ki wo kuch kahte hi, chup ho jaate hai,
`
Chand se pyaari chandni
Chandni se pyari raat
Raat se pyari jindagi
Jindagi se pyaare aap
`

Aapko lagta hai ki hamne aapko bhoola rakha hai,
Aap nahi jaante dil me kahi chupa rakha hai,
Dekh na le in aakhon me aapko koi,
Isaliye palkon ko bhi chupa rakha hai.
`
Sooni jindagi me halchal-si mahsoos huyi,
Bejaan dil ki aaj dhadkan mahsoos huyi,
Jaane aaj kyon aisa laga,
Shaayad aapki kami mahsoos huyi.
`
Sapno se dil lagaane ki aadat nahi rahi,
Har waqt muskurane ki aadat nahi rahi,
Yah soch ke ki koi manaane nahi aayega,
Ab hamse rooth jaane ki aadat nahi rahi.
`
Suna hai pyaar karne waale ajeeb hote hai,
Khushi se badle gam naseeb hote hai,
Mere dost mohabbat na karna kabhi,
Kyonki pyaar karne waale bade badnaseeb hote hai…
`
Hichkiyon se ek baat ka ehsaas hota hai ki,
Shaayad koi hame yaad karta hai,
Milane na aaye to kya,
Ham par kuch lamhe barbaad to karta hai…
`
Kaash tum mujhe ek khat likh dete,
Mujh me kya-kya thi kami nafrat kyon ki,
Tadapte dil se mere tumne nafrat kyon ki,
Nafrat ki hi mujhe koi vajah to bata dete.
posted by anil.manali@gmail.com
9816159581